Aaj ke iss article me hm aapko batane vale hai ki aadhaar card ka address kaise update kiya jata hai. sabhi log aadhar card to bnva he lete hai lekin unme se bahut se logo ko address ko update kaise kiya jata hai, iske bare me pata he nhi rehta hai. kai baar aisa hota hai ki kbhi aapki shadi ho jati hai ya fir aapki kai par transfer ho jati hai jiske karan aapko dusre city me jana padta hai, aur fir isi karan aapke paas apne address ka koi proof he nhi rehta hai. lekin ab aapKo tenshion lene ki koi jarurat nhi hai. kyonki aap abhi apne aadhaar me address aasani se change kr skte hai.
Kya aapko ye baat pta hai ki UIDAI aapko document ko bina prastut kiye aadhaar me apna address update karne ki suvidha pradan krta hai. ise aap saral tariko se kr skte hai. aapko jarurat hai to sirf ek adress verifier ki aur address validation letter ki, isse aap aasani se online anurodh kr skte hai. Address verifier ek parivar ka sadasya ya fir rishtedar ya dost ya fir aapka makan malik bhi ho skta hai jo aapko sabut ke roop me apne pate ka upyog krne dene ke liye tayar hai.
Chliye ab hum aapko aadhar card me without document address kaise update kiya jata hai iski step by step jankari dete hai.
Niche hum aapko kuchh steps bata rahe hai jiska isthemal krke aap aasani se address update kar skte hai.
- sbse pehle aapko UIDAI ki website https://uidai.gov.in/ par jana hai.
- iske baad aapko My Aadhaar menu pr click krna hai.
- My Aadhar menu pr click krne ke baad aapko Address Validation Letter pr click krna hai.
- iske baad aapke samne ek naya page open ho jayega.
- iske baad ab aapko apna 12 number ki aadhar sankhya darj krani hai.
- ab aapko verification ke liye captcha code dalna hai aur fir send OTP button pr click krna hai.
- ab aapko apne panjikrut number ya 8 number OTP ko bheje gaye 6 number OTP darj krna hai aur fir profile button pr click krna hai.
- iske baad aapko login button pr click krna hai.
- ydi yeh prakriya puri ho jati hai, fir uske baad aapko verifier details share krne ki jarurat hai. ab aapko address verifier aadhaar number enter krna hai.
- update ke liye sahamati dene ke liye aapke panjikrut mobile number par ek sms bheja jayega.
- verifier ko ek baar us link pr click krna hai fir aapko aur ek bar OTP verification ke liye sms prapt hoga.
- verification ke liye panjikrut mobile number aur captcha code par bheja gaya OTP darj kare.
- ek bar yeh verify ho jane ke baad , aapko ab sms ke madhyam se seva anurodh sankhya SRN milegi.
- ab aapko SRN ke sath log in krna hai. ab aapko declaration pr tick mark krna hai aur fir submit button pr click krna hai.
- fir aapko apna address change krke save button pr click kr dena hai.
- ab aapko firse declaration par tick krna hai aur apni request submit kr dena hai.
- iske baad aapko address validation letter ek secret code ke satg prapt hoga . iske baad aapko UIDAI ki website pr jakr proceed to update address link pr click kr dena hai.
- iske baad aapko firse login krke update address via secret code option pr click kr dena hai.
- ek baar aap apna secret code dal dete hai, to ye process puri ho jati hai. iske baad aap apne new address ko preview krke submit button pr click kr de.
Upar di gai jankari anusar yadi aap apna address update krte hai to aapko address update krne me kafi aasani hogi. hmne iss article me puri jankari aapko step by step bata di hai. yadi aapko koi bhi dikkat aa rhi hai to aap comment krke hmse puchh skte hai, hum aapki help karenge. aur ha yadi aapko ye article pasand aaya ho to ise apne dosto ke sath jarur share kare taki unki bhi madad ho sake.
Be the first to comment on "How to Update Address in Aadhaar Card?"