How to download E- Aadhaar Card in Mobile ?

How to Download E- Aadhar Card in Mobile

Vaise to aadhar card sabhi ke paas rehta hai. lekin kai baar aadhar card gum ho jata hai jiske karan hme aadhar card firse download krne ki jarurat aa pdti hai.

jaisa ki aap jante hai ki aadhar card aavshyak pramaan aur pahachaan pramaan donon ke roop mein kary karta hai. naamaankan prakriya ke poora hone ke baad, aap aadhikaarik website se ee-aadhaar card download kar sakate hain. 

Aur fir ise aage upayog ke liye print kar sakate hain. aapka e-aadhaar aapke aadhaar card ki ek copy hoti hai aur ye ek surakshit electronic copy hai aur UIDAI  ke ek praadhikaran dvaara digital roop se hastaaksharit hai.  aur sath he yah electronic prati aadhaar adhiniyam ke prati ke roop mein manya hai. is password

sanrakshit dastavej ko download karane ke liye, aapko niche di gai website par jana aavshyak hai. 

https://eaadhaar.uidai.gov.in/

Chaliye ab hm aapko batate hai ki kaise step by step mobile me aadhaar card ko download krte hai. aadhar card download karne ke bhi alag alag prakriya hai. hm aapko vo sbhi prakriya yaha pr batayenge.

Aadhaar Number se e-Aadhaar download kare

Yadi aapko pehle he aadhar card prapt ho chuka hai aur aapka aadhar number aapko pta hai to aap niche diye gaye steps ko follow krke apna e-aadhaar download kar skte hai.

  1. to sbse pehle aapko https://eaadhaar.uidai.gov.in/ iss link pr click krna hai.
  2. iske baad aapke samne ek nya page open ho jayega.
  3. ab aapko apna 12 number ka UID number dalna hai.
  4. aap yadi check box par click nhi karoge tab bhi chalega.
  5. iske baad aapko captcha dalna hai.
  6. captcha dalte he iske baad aapko ek OTP aa jayega.
  7. iske baad aapko OTP enter krna hai aur process start ho jayegi.
  8. iss tarah aap apna aadhar card download kar skte hai.

Enrolment ID se e-aadhaar card download kare

Ye aadhar card download krne ki dusri prakriya hai.apne aadhar card ki electronic copy download krne ke liye, aap apni enrolment id ka bhi upyog kr skte hai. chliye ab hm aapko niche step by step batate hai ki kaise download krna hai.

  1. sbse pehle aapko https://eaadhaar.uidai.gov.in iss link par click krna hai.
  2. link par click krte he aapke samne ek nya page open ho jayega, ab iss page pr aapko enrolment id pr click krna hai.
  3. ab aapKo yha pr apna ENO dalna hai. aapko ENO ke side me ek calender milega.
  4. aapko apne namankans slip pr print hui date aur time stamp ko dalna hai, iske liye aapko calender ka upyog krna hai.
  5. yadi aap masked aadhaar chahte hai to aap checkbox par click kare, anyatha check box pr click na kare.
  6. iske baad aapko captcha verification krna hai.
  7. iske baad aapko OTP ko select krna hai.
  8. jaise he aap OTP daloge vaise he aadhaar card download process shuru ho jayegi.

Name and Date of Birth se e-aadhaar download kare

Ye e-aadhaar card download krne ki tisri prakriya hai. yadi aapko apni enrolment ID ki galat jankari nhi hai ya fir nhi mili hai, to aap ise apne nam, date of birth aur phone no. ya fir email dwara upayog krke ise prapt kar skte hai.

Ek baar no. prapt krne ke baad aap apna e-aadhaar card download kar skte hai. chliye ab hm aapko ise download krne ki step by step jankari dete hai.

  1. sabse pehle aap UIDAI ki iss website https://resident.uidai.gov.in/lost-uideid par jayiye, ya fir bhule huye UID page pr jayiye.
  2. iske baad enrolment ID ke button pr select kare.
  3. aapne jab apne aadhaar card ke liye aavedan kiya tha , to usi nam ko abhi darj krna hai.
  4. ab aapko apna mobile number dalna hai. iss baat ka avshya dhan rakhe ki ye vohi mobile number hona chahiye jo aapne namankan ke samay pradan kiya tha.
  5. aap apna email id bhi provide kar skte hai.
  6. ab aapko captcha dalna hai.
  7. iske baad aapko OTP bhejna hai.
  8. OTP aane ke baad aapko apna EID prapt ho jayega.
  9. ab aapko https://eaadhaar.uidai.gov.in pr jakr apna aadhar download krna hai.

Aaj ke iss article me hmne aapko mobile me aadhar card kaise download kare iski puri process bata di hai. yadi aapko aaj ka yeh article pasand aaya ho to ise share jarur kare.

Be the first to comment on "How to download E- Aadhaar Card in Mobile ?"

Leave a comment

Your email address will not be published.


*