Aaj ke iss article me hum aapko Best writing apps for Writer in hindi ke bare me jankari dene vale hai. writers kai prakar ke hote hai usme kuchh upanyas likhte hai, kuchh technology par likhte hai aur hamare jaise kuchh log blog post bhi likhte hai. lekin aap sbhi ko writing apps ki jarurat padti hai to isi karan aaj hum aapko kuchh best writing apps bata rahe hai.
10 Best writing apps for Writer
1. Character Story Planner 2
Character story planner 2 ek behtarin writing apps mana jata hai. halanki yeh upanyaskaro aur kahani lekhko ke liye ek utkustha sansadhan ho skta hai. aap isme kahani, aur aapko jo bhi achha lge wo sab aap isme asani se likh kr save krke rakh skte hai. aap mul roop se ek puri kitab he yhaa likh skte hai aur fir ise baad me word processor me badal skte hai. yeh app ads free hai isiliye yeh writers ke liye kafi achha mana jata hai.
2. Google Docs
Google Drive ek kafi behtarin online office suit hai. isme Googlr Docs ke sath ek word processor, cloud storage aur google Keep ke sath ek note lene vala app hai. Google Docs ek upanyas, screenplay etc ke liye paryapt bada aur shaktishali app hai, aur sath he Google drive ek cloud storage platform hai jisse aap internet connection ke sath apne lekhan ko computer, phone ya kisi anya device par access kr skte hai.
3. Monospace
Monospace ek simple lekin prabhavi writing apps hai. aap ek tap se app ke colour ko ulta kr skte hai. halanki yeh editing tools ko anya apps ki tarah pradan nhi krta hai, lekin iska tarika adhik kushal hai. jab aap ek nyi file banate hai, to aap ise swaya naam de skte hai ya auto name ka selection kr skte hai, jo ise date aur time ke anusar naam dega. vakai me yeh app kafi achha hai aur bahut se log iss app ko pasand bhi krte hai.
4. JotterPad
JotterPad vishesh roop se lekhko ke liye ek writing app hai. isme upanyas, screenplay aur anya saman prakar ke writing work ke liye kai prakar ki visheshtaye hai. yadi hum iske features ki baat kre to isme ek dark mode, ek word counter, markdown support, typewriter style scrolling aur cloud storage ke liye support shamil hai. iska free version jyadatar suvidhao ke sath aata hai. yadi aap chahe to iss app ke isthemal krke dekh skte hai.
5. Markor
Yadi hum iss Markor app ki baat kre to ye use krne me kafi simple app hai aur sath he kafi popular app bhi hai. yeh apne swarupan ke liye markdown ka upayog krta hai. lekin yeh anyatha ek simple editor tool hai. isme aapko notes writing krne, to do list banane aur bahut kuchh suvidhaye milti hai. yeh offline bhi support krta hai, isme aapko ek convert to pdf reader function aur kuchh anya function bhi milte hai. yeh app puri tarah se free hai aur aap iska aasani se upayog kr skte hai
6. Microsoft Word
Microsoft Word ke bare me har koi pehle se he janta hai. Microsoft One Drive aapko kai devices ke bichh apne work ko sync krne deta hai aur microsoft word bhi usi me ata hai. In dino koi app jyada chal rha hai to vo hai microsoft word. ye microsoft company ka hone ke karan aap logo ko microsoft ke other features bhi provide krta hai. iska interface kafi clean hai aur upayog krne me aasan bhi hai. ydi hm iski rating ki baat kre to ise google play store par kafi achhi rating prapt hui hai. aap chahe to iss app ko download krke aap iska upayog kr skte hai.
7. Novelist
yadi aap koi writer ho ya fir kisi chij ke bare me aapko likhne ka shauk ho to yeh app aapke liye behtarin app sabit ho skta hai. isme aise kai features diye gye hai jo aapko koi story likhne me madad krenge. iske sath he iss app me google drive ka support bhi hai. iss app ko bhi google play store pr kafi achhi rating prapt hui hai, yadi aap chaho to iss app ko download krke iska upayog kr skte hai.
8. Pure Writer
Pure Writer bhi ek simple aur kafi popular app mana jata hai. yeh aapko kafi nye nye features deta hai jaise paragraph aur line option, ek night mode aur bhi bahut kuchh suvidhaye pradan krta hai. yadi likhte samay aapse kuchh delete bhi ho jata hai to yeh aapko history me dikhata hai. iss app ko google play store par kafi achhi rating prapt hui hai. aap chahe to iss app ka upyog krke dekh skte hai. hume aasha hai ki yeh app aapko nirash nhi krega.
9. Writer Plus
Writer plus yeh app kisi bhi chij ke liye sbse popular writing app me se ek hai. isme headers, reach text formeting, keyboard macroge, night mode, right to left support aur word aur characters counters jaise features upalbdh hai. iska navigation kafi aasan hai. iss app ko kaise upyog krna hai isspar el margadarshika bhi hai. yeh app kafi aasan hai aur kafi tej bhi hai. yeh app bina kisi ads ke bilkul free hai. yadi aap chaho to iss app ka bhi isthemal krke dekh skte hai.
10. Writer Tool
Writer tool yeh app kuchh suvidhao ke sath ek aur behtrin app hai. yeh ek word processor hai. isme aap character create krne, timeline aur chapter ko plot krne, apne characters ke liye new location banane aur anya ideas jaisi chije kr skte hai. yadi aap apni writing sthirta dekhna chahte hai, to ek progress log bhi hai. aap ek pure project par ads ke sath free me kam kr skte hai. yadi aap chaho to iss app ka upyog kr skte hai.
To humne aapko aaj ke iss article me best writing apps ke bare me jankari di hai. hum aasha krte hai ki aaj ka yeh article aapko pasand aaya hoga.
Be the first to comment on "10 Best Writing Apps for Writer in hindi"